Raftaara റഫ്താര

Lyrics വരികൾ

Kya sach hai aur kya hai maaya
Koi yahaan samajh nahin paaya
Duniya chalti hai bas pharebi se
Apna nahin raha hai apna saaya

Yahaan maamooli nahin koi bhi
Is dhandhe mein galthi bhi hai sahi
Duniya ka hai kya jo kehti hai kahe
Is jhashke ki bhi dawaayi hai nahin

Jee bhar ke ab jee le bhi re, deewaaren gira bhi re
Roke na koi hum ko yahaan
Saari jhanjhat bhula de re, thodi see pila de re
Yom hee ghoome dhoome ye jahaan — Oh yaara
Raftara naache naache damkaara baaje baaje
Dhoom thadaake dhoom thadaake haan — Deewane saare
Raftara naache naache damkaara baaje baaje
Aage aa ke aage aa ke haan — Oh yaara (Raftara)

Yahaan maamooli nahin koi bhi
Is dhandhe mein galthi bhi hai sahi

Shaitaani niyyaton se peecha chuda ke
Jaane kahaan thoo jaayega
He … jaaye jahaan bhi chaahe saaye mein there
Dhokha hi dhokha paayega
He dheere dheere khol pitaare duniya saari bhaad mein jaave
Mere thaal pe gaa re gaa re haan — Ahaan
Seedha-saadha kaun raha re, sab ke apne khel niraale,
Koi bhi koi bhi haare na — Oh yaara (Raftara)